Tip:
Highlight text to annotate it
X
Sahib e Zulfiqar (A.S) al madaday Shah e Duldul (A.S) sawar al madaday
ran main Shabbir (A.S) aaj hain tanha
dasht main lut gaya bhara kunbaa
ashqiya hain kiyay hoay narghaa
hai sitam ka hisaar al madaday
Sahib e Zulfiqar (A.S) al madaday Shah e Duldul (A.S) sawar al madaday
khaak per hai Sawar e dosh e Nabi (S.W.W)
tashna lab hai Hussain ibne Ali (A.S)
kund khanjar hai aur shimr (L) shaqi
hai haram ki pukaar al madaday
Sahib e Zulfiqar (A.S) al madaday Shah e Duldul (A.S) sawar al madaday
raah e kufa hai shaam ka bazaar
hain rasan basta Zainab e Ghamkhaar (S.A)
sar khulay Bibian (A.S) hain aur darbar
sakht hai rehguzaar al madaday
Sahib e Zulfiqar (A.S) al madaday Shah e Duldul (A.S) sawar al madaday
ban kay qaidi Imam (A.S) jaain gay
baidiaan pehnay shaam jaain gay
sar e darbaar e aam jaaain gay
hongay sab sharamsaar al madaday
Sahib e Zulfiqar (A.S) al madaday Shah e Duldul (A.S) sawar al madaday
aap Maula e kull hain Shah e Najaf (A.S)
haq nain bakhsha hai Aap (A.S) ko yeh sharaf
Shah A.S) hain tanha adu hain charon taraf
behr e parwardigaar al madaday
Sahib e Zulfiqar (A.S) al madaday Shah e Duldul (A.S) sawar al madaday
ab na Abbas (A.S) hain na Akbar (A.S) hain
taptay maidaan main khulay sar hain
baysahara hain aur bay ghar hain
aai ghareebon kay yaar al madaday
Sahib e Zulfiqar (A.S) al madaday Shah e Duldul (A.S) sawar al madaday
Aap (A.S) mushkil kusha zamanay kay
Aap (A.S) haajat rawa zamanay kay
Aap (A.S) khairul wara zamanay kay
sahib e ikhteyar al madaday
Sahib e Zulfiqar (A.S) al madaday Shah e Duldul (A.S) sawar al madaday
tujh ko kis baat ka hai gham mehshar
sar pay Ghazi (A.S) ka hai Alam mehshar
bas yeh keh kar utha qadam mehshar
hashar kay taajdaar al madaday
Sahib e Zulfiqar (A.S) al madaday.........