Tip:
Highlight text to annotate it
X
Faras say jab Ali Akbar (A.S) juda hua ran mai
to bay qarar huay Shah e Karbala (A.S) ran mai
ye kehtay phirtay thay ro ro kay ja baja ran
aai meri jaan tu kis simt chup gaya ran mai
JinaaN ko tum *** kiyon ham na mar *** baita
padar ko chor kay tanha kidhar *** baita
Kiya khayal na baba ki kuch zaeefi per
ke baqarar phiray ga meray baghair padar
nehaaN ho jabsay hamain kuch nahi hai aata nazar
hamari roshni ankhon ki lay *** Akbar (A.S)
Kalaija atisha e furqat say mera jalta hai
sanbhalta hoon magar dil nahi sanbhalta hai
Tumharay daikhnay tak thi wo ham mai taqat o taab
tapaaN hai seenay mai dil misl e maahi e bay aab
jigar hai *** raha aur sabar ho gaya seemab
hamari zeest hai duniya mai ab misaal e hubaab
basa kay zeest ka baba ki kuch maza na raha
na ab wo zor raha aur wo hausla na raha
kidhar paray ho meri jaan ki tarhan paaun
aai meri jaan tu kis simt chup gaya ran mai