Tip:
Highlight text to annotate it
X
hum ek hain anek hain hum ek hain anek hain sandesh laye nek hai hum hai matwale hum himmat
wale hum hai matwale hum himmat wale soch badalne aaye hain hum tum jagane aaye hain
hum tumhe jagane aaye hain.... ik josh hai aakrosh hai ik josh hai aakrosh
hai kehlate SARFAROSH hai kehlate SARFAROSH hain kehlate SARFAROSH hain .... SARFAROSH....
hain hum sarfaroshi ki tamanna ab humare dil me hai
dekhna hai mulk mera kitni ab mushkil me hai..mera bharat desh mahaan...
mera bharat desh mahaan... isse bhuli khud iski santaan...
yaha nari ka nakuch sammann sadhu sant ban gaye shaitann..
na roti na kapda na makaan.. fir bhi..
mera bharat desh mahaan.. mera bharat desh mahaan...
gum hai bitiya ki muskan... updravoo ke kendra bane maidan...
kuposhan le raha masoomu ki jaan.. raaj kar rahe muk pradhan...
fir bhi.. mera bharat desh mahaan...
mera bharat desh mahaann... waah..
bhrashtachar mere desh me kuposhan humare desh me... are mahilaoon ka shoshan humare
desh me.. fir bhi mera bharat desh mahaann.....kaise...
are hum desh ko mahaaangarv se nhi vyang se keh rahe hain.....
are aisa kya karan hai ki hume humare desh ki mahanta pargarv nhi raha.....
are is desh ke to neta bekar hai.... nhi nhi yaha ki tosuraksha vyavasta bekar
hai... nhi nhi yaha ki to shiksha vyavasta bhi bekar
hai... are nhi yaha ki to nyay vyavasta bekar hai....
are nhi yaha ka to sara system hi bekar hai...... bas samasyayein to tumne kai gina di....
lekin kya tumme se kisi ke pass iska upaay hai...
hai koi samadhan ... nhi.. bura jo dekhna main chala
bura na miliya koi.. jo man khoja aapna mjhse bura na koi...
Is desh me shikayat to sabhi karte hain lekin yaha...
samadhan ka hissa koi nhi bananaa chahta... aur isliye..
is desh ki samasyaon ke anek roop aao hum tumhe dikhlate hain tasveer ye kaise savaregi
aoo hum tumhe dikhlate hai.... are kabhi mithai ka dabba...
ya mehanga uphar... ya madam jee ke liyee.... ik sone ka haaar....
koi bada neta ho .... ya mamooli hawaldar... sabka chaheta ban gaya....
bhrashtachar.... bhrashtachar..... bhrashtachar... kya aaap jante hai ki aakhir ye bhrashtachar
ka danav itna bada kaise ho gaya... yaad kijiye jab pehli bar apna kaam nikalwane
ke liye apne kisi babu ko rishwat di thi... thik wahi se shuru hota hai bhrashtachar...jiski
wajah aap hi hain... paarrr..
agar is bhrashtachar ki wajag aapa hain... to iska samadhan bhi aap hi hai.....
kaise...... are sahte aaye ho aaj tak...
par ab tum chup na baitho yaarrrr.... ek hokar aawaz uthao...
aur karo hunkarrr.. mat socho ki jab ye danav... karega tum par
waar.... kya tabhi jaag kar tum karoge soch vichar....
nahi... kisi par bhi hota dekho jab ye atyacharr madad
ke liye hath badakarkaro ye tum yalgaar... ek hokar jab tum karoge jab yalgar...
tabhi to is desh se mitega bhrashtachar mitega bhrashtacha....
to aao to aao to aao is sandesh ko hum jan jan tak pahunchate hai hum ek ho hum ek ho
aur bhrashtachar mitate hain aur bhrashtachar mitate hain...
ABCD chaida menu... LCD bhi chaida menu..
Lal mercedes chaidi menu.. lal kila bhi chaida menu..
ye chaida wo chaida ye chaida wo... menu
chaidahai chaidahai chaidahai chaidahai menu
chaidahai chaidahai chaidahai chaidahai menu
chaidahai chaidahai chaidahai chaidahai hooo
dad ! mjhe aapse kuch baat karni hai dad... kya baat hai beta bolo..
dad mjhe nayi bike chahiye wo bi HARLEY DAVIDSON nayi bike... harley davidson... tum jante
bhi ho kitni mehangi bike hai wo... aur tumhare pass tumhare pass to pehle se
hi ek bike hai... nhi dad college me sab ek se ek bike chalate
hai bas main hi ek khatara chalata hun... are beta ye sab dikhawe ki cheeze hai...
aur tumhari bike.. uska milaege...
uska milaege to dekho.... 100 ka hai... nhi dad mjhe 100 ka milaege nhi 300 ki speed
chahiye.. are beta samjho....
nhi dad mjhe kch nhi sunana.. aaj kal ke yuvainki ichaoon ka to koi aant
hi nhi hai.. par dikhawe ki is andhi daud me... ye bhool
jate hai... ki jitna inke maa baap inko de sakte thee..
shyad utna wo unhe de chuke hote hain... wo khoon kaho kis matlab ka jisme ubaal ka
naam nhi... wo khoon kaho kis matlab ka aa sake desh ke
kaam nhi.. are are ye achanak aaj tjhe kya ho gaya hai
kal maine RANGDEBASANTI dekh li hai.. aur mere maan me dekh bhakti jaag gayi hai...
ab mjhe is desh ke liye kuch karna hai... bharat mata ki......
aree ruk ruk ruk....aaj shaam ko party thi uska kya...
are chood party warty sab band yr... ab mjhe is desh ke liye kuch karna hai....
dekh le tu tere hisab se...hum to party me jayenge...
haan thik hai jao... ek baat bata du....
waha wo riya bhi aa rahi hai... are maaf karna bhagat singhmaaf karna...
desh bhakti kal se.... waah ... to ye humare desh ke yuva jo karna
to bhot kch chahte hain ...par inme ichashakti itni kam hai...ki apne *** pass ki gair zarurati
aadatoonki wajah se ubhar hi nhi pate... ye aadatein pehle shauk fir zarurat...
aur fir majburi ban jati hai... aur kai bar maut ka akaran bhi....
to aao mere desh ke yuvaoon....ab bhi waqt hai...
drad nishchaiy kar lo agar tum to kya mumkin nahi hua....
are pechan lo apni takkat ko .. tum ho YUVA tum ho YUVA tum ho YUVA....
badhai ho bhaisaheb apke ghar beti hui hai.... mere ghar aayi ek nanhi pari...
khushiyaan layi ek nanhi pariiii.... main isse bade nazoon se palunga, isse padaunga
, likhaunga, isse har wo khushi dunga jo isse chahiye...
isse har wo sanskar dunga jisse ki wo apna aur is SAMAJ ka naam roshan kar sake...
wahi samaj...jo aaj tak in aauratoon ka tiraskar karta aaya hai...
are wahi samaj jo mahilaoon ko apne pairoon ki juti samajhta aaya hai...
kahi is samaj ne iski muskaan bhi chin li to..
kahi samaj ne iske sath bhi kuch galat kar diya to...
aise samaj me is bachi ke liye koi jagah nahi..... nahiiii...
ye samaj.... main isse is samaj ke atyacharoon ka hissa
nhi banane dunga... issse pehle ki ye samaj isse apne atyacharoon
ka hissa banaye main isse khud hi .... mukt kar deta hoon..
rukiye... nhi...ye aap kya karne ja rahe the humari
beti ke sath.... lekin...yeh samaj...
samaj mjhe koi farak nhi padta ki ye samaj humari beti ke bare me kya sochta hai...
hum apni beti ko itna majboot banayenge ki wo is samaj se muskarakar ladti rahe..is samaj
ko ek nayi soch ek naya bhavishya de... Wo apni ichcha shakti se ye sabit kar sake
k mahilayein bhi utni saksham nipun aur shaktishali h
Jitna ye purush apne ap ko samajhta hai tumne bilkul thik kaha...
main bhatak gaya tha... hum bilkul aisa hi karenge..
ik maa kabhi ik kehn kabhi .. ek shakti hai nari....
samaj agar rath hai to ek pahiya hai nari... purush pradhan is samaj ka aadha rhai nari....
kabhi jhansi ki rani to kabhi kalpana hai nari... to kabhi kalpana hai nari...
to kabhi kalpana hai nari.. shahar me ek aur...
jai shiv shambhoo jai shiv shambhooo.. gurudev...
gurudev... kalyan ho mere bache..
le prasad kha.. gurudev gyat hua hai ki nagar me ek bhumi
khali hai gurudev... kya...
bhumi.. lagta hai prabhu ki yahi icha hai..
aao hum waha jakar mandir ka nirmaaan kare... aao..
hum waha chalkar mandir ka nirmaan karenge.. ji gurudev..
wahi shahar me dusri aur..
aaslaam walekum hazrat.. walekum aslaam...
janab khabar mili hai ki shahar ke *** me ek zameen khali hai...
zameenen.. subahnallah...
lagta hai allahtala ka bhi yahi paigaam hai.. aao hum waha chalkar mazid tameer karenge..
aur fir us jagah par... janab aap yaha kya kar rahe hai..
shreeman hum yaha mandier ka nirmaan karne aaye hai...
mandirr..... yaha to masjid tameer hogi.. shreeman yaha to mandir ka hi nirman hoga..
nahi nahi masjid tameer hogi.. nahi nahi mandir ka nirmaan hoga..
masjid.. mandir..
masjid.. mandir..
huh... aur kai bar aise hi kuch asamajik tatvaek
choti si chingari ko sulagti hui aag me badal dete hai...
maa maa
maa kya ho gaya maa tumhee... khoon..
are ye kya kara tumne.. are aisa kya hai tumhare dharmo me... ki iski
kimat hume apne khoon se chukani padti hai.. aisa kaisa hai tumhara ye samaj..
are kya karunga main is murda samaj me jeekar.. jo ek dusre ka raqt hi bahate rehte hain..
nahi jeena mjhe is samaj me..
ek din aisa aayega..s dunia me kewal dharam reh jayega...
lekin dharam ko manne wala insaan nahi... maaaaaa
maaaaaaa